husn ki dil mein mere jalwagari rahti hai band is shisha-e-nazuk mein pari rahti hai dil wahan khulta hai jis ja ki rahe jam-e-sharab dana wan ugta hai jis ja ki tari rahti hai tifli-o-ahd-e-jawani ka na puchho ahwal be-khudi aage thi ab be-khabari rahti hai bagh-e-alam mein nahin dast-e-karam ko hai zawal shakh ye wo hai jo ta-hashr hari rahti hai yaad mein jam-o-surahi ke tere ai saqi dil bhara rahta hai aankhon mein tari rahti hai mai-o-mashuq se daulat se bahaar-e-gul mein chakkhiyan rahti hai hain yaron ki chari rahti hai har ghadi rahta hai khayal-e-rukh-e-mahbub ka dhyan aaj-kal samne kotah-nazari rahti hai bhid si bhid lagi rahti hai kuche mein tere jins ulfat ki magar wahan pe khari rahti hai naqd-e-dil lete ho har ek ka be-bos-o-kanar aap ke dhyan mein kya muft-bari rahti hai hath pakda hai mera dast-e-junun ne jab se har ghadi madd-e-nazar jama-dari rahti hai baal khole nahin phirta hai agar wo saffak phir kaho kyun mujhe aashufta-sari rahti hai rind wan baste hain jis ja ho khum-o-khum-khana sher wan rahte hain jis ja ki tari rahti hai