husn mail ba-sitam ho to ghazal hoti hai

husn mail ba-sitam ho to ghazal hoti hai
ishq ba-dida-e-nam ho to ghazal hoti hai

phul barsaen ki wo hans ke giraen bijli
koi bhi khas karam ho to ghazal hoti hai

kabhi duniya ho kabhi tum kabhi taqdir khilaf
roz ek taza sitam ho to ghazal hoti hai

daman-e-zabt chhute chur ho ya shisha-e-dil
hadsa koi aham ho to ghazal hoti hai

shikan-e-gesu-e-dauran hi pe mauquf nahin
un ki zulfon mein bhi kham ho to ghazal hoti hai

chaaragar lakh karen koshish-e-darman lekin
dard is par bhi na kam ho to ghazal hoti hai

raaz-e-takhliq-e-ghazal hum ko hai malum 'nasim'
jam ho mai ho sanam ho to ghazal hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close