husn takmil-e-tamanna hai saba ho jaana shahr-dar-shahr har ek dil ki rida ho jaana pas aa aa ke har ek lamha bichhadna tera jaise khushbu ka rag-e-gul se juda ho jaana is tarah tut ke barse hain garajte baadal jaise jagi hui aankhon ki sada ho jaana zindagi tu ne kai rang bhare hain paiham zulf-e-shab-rang kabhi rang-e-hina ho jaana kitne ban-bas liye phir bhi tere sath rahe hum ne socha hi nahin tujh se juda ho jaana husn-e-takhliq bhi hai rifat-e-insan bhi hai azmat-e-dil hai har ek dil ki dawa ho jaana sar-bulandi hai yahan shahr mein zinda rahna sarfaraazi hai yahan rah-numa ho jaana bujh gae rah-e-tamanna mein hazaron jugnu tum mere waste naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana ye bhi mumkin nahin ai dost tu sab ki khatir chandni ban ke kahin jalwa-numa ho jaana khetiyan sukh gain khushk hue dil ke nagar bawar aaya hamein pani ka hawa ho jaana