huzur-e-shah mein ahl-e-suKHan ki aazmaish hai

huzur-e-shah mein ahl-e-sukhan ki aazmaish hai
chaman mein khush-nawayan-e-chaman ki aazmaish hai

qad o gesu mein qais o kohkan ki aazmaish hai
jahan hum hain wahan dar-o-rasan ki aazmaish hai

karenge kohkan ke hausle ka imtihan aakhir
abhi us khasta ke nerwe tan ki aazmaish hai

nasim-e-misr ko kya pir-e-kanan ki hawa-khwahi
use yusuf ki bu-e-pairahan ki aazmaish hai

wo aaya bazm mein dekho na kahiyo phir ki ghafil the
shakeb-o-sabr-e-ahl-e-anjuman ki aazmaish hai

rahe dil hi mein tir achchha jigar ke par ho behtar
gharaz shust-e-but-e-nawak-fagan ki aazmaish hai

nahin kuchh subha-o-zunnar ke phande mein girai
wafadari mein shaikh o barhaman ki aazmaish hai

pada rah ai dil-e-wabasta betabi se kya hasil
magar phir tab-e-zulf-e-pur-shikan ki aazmaish hai

rag-o-pai mein jab utre zahr-e-gham tab dekhiye kya ho
abhi to talkhi-e-kaam-o-dahan ki aazmaish hai

wo aawenge mere ghar wada kaisa dekhna 'ghaalib'
nae fitnon mein ab charkh-e-kuhan ki aazmaish hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close