ibtida hun ki intiha hun main umr bhar sochta raha hun main lafz-o-mani se mawara hun main ek khamosh iltija hun main dil mein koi khushi nahin lekin aadatan muskura raha hun main na-tawan ho ke adl chahta hun waqai qabil-e-saza hun main dekh kar rang bazm-e-alam ka naqsh-e-diwar ban gaya hun main subah ke intizar mein 'rifat' raat bhar sochta raha hun main