ibtida sa kuchh intiha sa kuchh

ibtida sa kuchh intiha sa kuchh
chal tamasha karen zara sa kuchh

samne se ye kaenat hatao
ho raha hai mughaalta sa kuchh

sar-ba-sar hun salamti ke sar
main hun raftar-o-hadisa sa kuchh

ek khatra hai aane jaane mein
is sara mein hai dusra sa kuchh

chaak udhadta hai khak ukhadti hai
koi hota hai runuma sa kuchh

aur to kuchh nahin hai mitne ko
main hi main hun bana bana sa kuchh

ye sarakte hue zamin pe log
ye gunah sa kuchh aur gila sa kuchh

waqt par aag waqt par pani
zindagi bhar ka tajraba sa kuchh

jo na tera hai aur na mera hai
phir wo kya hai tera mera sa kuchh

jab khuda sa koi nahin to kyun
masala ban gaya khuda sa kuchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close