ibtida se hum zaif o na-tawan paida hue ud gaya jab rang rukh se ustukhwan paida hue khaksari ne dikhain rifaton par rifaten is zamin se wah kya kya aasman paida hue ilm khaliq ka khazana hai miyan-e-kaf-o-nun ek kun kahne se ye kaun-o-makan paida hue zabt dekho sab ki sun li aur kuchh apni kahi is zaban-dani par aise be-zaban paida hue shor-bakhti aai hisse mein unhin ke wa nasib talkh-kaami ke liye shirin-zaban paida hue ehtiyat-e-jism kya anjam ko socho 'anis' khak hone ko ye musht-e-ustukhwan paida hue