idhar bhi dekh zara be-qarar hum bhi hain

idhar bhi dekh zara be-qarar hum bhi hain
tere fidai tere jaan-nisar hum bhi hain

buto haqir na samjho hamein khuda ke liye
gharib banda-e-parwar-digar hum bhi hain

kahan ki tauba ye mauqa hai phul udane ka
chaman hai abr hai saqi hai yar hum bhi hain

misal-e-ghuncha udhar khanda-zan hai wo gul-e-tar
misal-e-abr idhar ashk-bar hum bhi hain

jigar ne dil se kaha dard-e-hijr-e-jaanan mein
ki ek tu hi nahin be-qarar hum bhi hain

mudam samne ghairon ke be-naqab rahe
isi pe kahte ho tum parda-dar hum bhi hain

hamein bhi dijiye apni gali mein thodi jagah
gharib balki gharib-ud-dayar hum bhi hain

shagufta bagh-e-sukhan hai hamin se ai 'sabir'
jahan mein misl-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close