idhar ye haal ki chhune ka ikhtiyar nahin udhar wo husn ki aankhon pe e'tibar nahin main ab kisi ki bhi ummid tod sakta hun mujhe kisi pe bhi ab koi e'tibar nahin tum apni haalat-e-ghurbat ka gham manate ho khuda ka shukr karo mujh se be-dayar nahin main sochta hun ki wo bhi dukhi na ho jae ye dastan koi aisi khush-gawar nahin to kya yaqin dilane se man jaoge? yaqin dilaun ki ye hijr dil pe bar nahin qadam qadam pe nai thokaren hain rahon mein dayar-e-ishq mein koi bhi kaamgar nahin yahi sukun meri be-kali na ban jae ki zindagi mein koi wajh-e-intizar nahin khuda ke bare mein ek din zarur sochenge abhi to khud se talluq bhi ustuwar nahin gila to mujh se wo karta hai is tarah 'jawwad' ki jaise main to judai mein sogwar nahin