idhar ye zaban kuchh batati nahin hai

idhar ye zaban kuchh batati nahin hai
udhar aankh kuchh bhi chhupati nahin hai

pata hai rihai ki dushwariyan par
ye qaid-e-qafas bhi to bhati nahin hai

kami rah gai hogi kuchh to kashish mein
sada laut kar yun hi aati nahin hai

mujhe ras viraniyan aa gai hain
teri yaad bhi ab satati nahin hai

khafa hai karam-farma hai kaun jaane
hawa jab diye ko bujhati nahin hai

agar ho gae soch mein aap budhe
to barish badan ko jalati nahin hai

guman pyar ka ho raha tab se 'niraj'
qasam jab se meri wo khati nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close