ikka dukka shaz-o-nadir baqi hain

ikka dukka shaz-o-nadir baqi hain
apni aankhen jin chehron ki aadi hain

hum baulae un ko dhunda karte hain
sare shahr ki galiyan hum par hansti hain

jab tak bahla pao khud ko bahla lo
aakhir aakhir sare khilaune mitti hain

kahne ko har ek se kah sun lete hain
sirf dikhawa hai ye baaten farzi hain

lutf siwa tha tujh se baaten karne ka
kitni baaten nok-e-zaban pe thahri hain

tu ek bahta dariya chaude chakle pat
aur bhi hain lekin nale barsati hain

sare kamre khali ghar sannata hai
bas kuchh yaaden hain jo taq pe rakkhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close