ilahi khair ho ab apne aashiyane ki nigahen us ki taraf phir uthin zamane ki hawa-e-tund guzar jae sar-nigun ho kar ek aisa aashiyan koshish karo banane ki khizan ke aane se ho jaen gham-zada jo phul unhen qasam hai bahaaron mein muskurane ki kisi ki barq-e-nazar se na bijliyon se jale kuchh is tarah ki ho tamir aashiyane ki wo puchhte hain ki din kis tarah guzarte hain ye koi baat hai 'taban' unhen batane ki