ilaj-e-dard-e-dil tum se masiha ho nahin sakta

ilaj-e-dard-e-dil tum se masiha ho nahin sakta
tum achchha kar nahin sakte main achchha ho nahin sakta

adu ko chhod do phir jaan bhi mango to hazir hai
tum aisa kar nahin sakte to aisa ho nahin sakta

abhi marte hain hum jine ka tana phir na dena tum
ye tana un ko dena jin se aisa ho nahin sakta

tumhein chahun tumhaare chahne walon ko bhi chahun
mera dil pher do mujh se ye jhagda ho nahin sakta

dam-e-akhir meri baalin pe majma hai hasinon ka
farishta maut ka phir aae parda ho nahin sakta

na barto un se apnaiyat ke tum bartaw ai 'muztar'
paraya mal in baaton se apna ho nahin sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close