iltifat-e-am hai wajh-e-pareshani mujhe

iltifat-e-am hai wajh-e-pareshani mujhe
kis qadar mahngi padi hai un ki arzani mujhe

bahr-e-hasti hai meri nazron mein ek dasht-e-sarab
ret ka hota hai dhoka dekh kar pani mujhe

tere jalwon ka to har ek zarra hai aaina-dar
mane-e-nazzara hai khud meri hairani mujhe

sai-e-be-hasil thi dil ki koshish-e-ikhfa-e-raaz
kar gai ruswa nigahon ki pareshani mujhe

ya adu-e-bul-hawas ki naz-bardari karo
ya bana lo takhta-e-mashq-e-sitam-rani mujhe

khul nahin sakti faqat ek aap ke dil ki girah
warna kya kya gutthiyan aati hain suljhani mujhe

kis qadar na-paid hain ahl-e-kamal ab ai 'wafa'
koi apna bhi nazar aata nahin sani mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close