imkan khule dar ka har aan bahut rakkha

imkan khule dar ka har aan bahut rakkha
is gumbad-e-be-dar ne hairan bahut rakkha

aabaad kiya dil ko hangama-e-hasrat se
sahra-e-tag-o-dau ko viran bahut rakkha

ek mauj-e-fana thi jo roke na ruki aakhir
diwar bahut khinchi darban bahut rakkha

taron mein chamak rakkhi phulon mein mahak rakkhi
aur khak ke putle mein imkan bahut rakkha

jalti hui batti se gul phut nikalte hain
mushkil se bhi mushkil ko aasan bahut rakkha

kuchh hai jo nahin hai bas wo kya hai khuda jaane
yun apni samajh se hum saman bahut rakkha

mashkuk hai ab har shai aankhon mein 'suhail' apni
hum ne but-e-kafir par iman bahut rakkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close