in ilm-o-agahi ki kitabon mein kuchh nahin

in ilm-o-agahi ki kitabon mein kuchh nahin
kya dhundhta hai yar nisabon mein kuchh nahin

khushbu ko dhundne ki tamanna hai kis liye
kuchh aur dekh sukhe gulabon mein kuchh nahin

jab apne pas pyar ki surat nahin rahi
chhodo khayal-e-dost ki khwabon mein kuchh nahin

wo shahr mit chuka jo basaya tha pyar ka
kya dhundte ho yar kharabon mein kuchh nahin

ho aankh mein surur to kya mai-kade se kaam
saghar mein kuchh nahin hai sharabon mein kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close