insaf ki taraazu mein taula ayan hua

insaf ki taraazu mein taula ayan hua
yusuf se tere husn ka palla giran hua

ru-e-zamin pe aisa main bismil tapan hua
ud kar mera lahu shafaq-e-asman hua

us barq-wash ka ishq-e-nihani ayan hua
abr-e-siyah aahon ka mere dhuan hua

piri mein mujh ko ishq-e-hasin-e-jawan hua
bar-e-digar kabaade mein zor-e-kaman hua

ahl-e-zamin se saf kahan aasman hua
kis roz burj-e-mah mein farsh-e-katan hua

madum dagh-e-ishq ka dil se nishan hua
afsos be-charagh hamara makan hua

do tukde ek war mein khud-e-hubab hai
girdab-e-mauj tegh ko sang-e-fasan hua

dekha jo main ne us ko samundar ki aankh se
gulzar aag ho gai sumbul dhuan hua

milta nahin dimagh hi gesu-e-yar ka
kuchh in dinon mein mushk ka saudagaran hua

khush-chashmon ke firaq mein khae ye pech-o-tab
shakh-e-ghazal apna har ek ustukhan hua

sakhti-e-rah-e-ishq se waqif hue na panw
josh-e-junun mere liye takht-e-rawan hua

amboh-e-ashiqan se hua husn ko ghurur
kasrat se mushtari ki ye saudagran hua

paiwand-e-khak ho gae ek but ki rah mein
patthar hamari qabr ka sang-e-nishan hua

phenka gaya na pir-e-falak nal ki tarah
koi na tifl-e-ashk hamara jawan hua

tu dekhne gaya lab-e-dariya jo chandni
istada tujh ko dekh ke aab-e-rawan hua

insan ko chahiye ki na ho nagawar-taba
samjhe subuk use jo kisi par giran hua

us gul se arz-e-haal ki hasrat hi rah gai
kante pade zaban mein jo mail-e-bayan hua

allah ke karam se buton ko kiya mutia
zer-e-nagin qalam-raw-e-hindostan hua

insaf main ne aalam-e-asbab mein kiya
banwai chandni jo mayassar katan hua

gardish ne us ki surma kiye apne ustukhan
chakki hamare pisne ko aasman hua

qatil ki tegh se rah-e-mulk-e-adam mili
aahan hamare waste sang-e-nishan hua

fikr-e-buland ne meri aisa kiya buland
'atish' zamin-e-sher se past aasman hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close