insan hun ghir gaya hun zamin ke khudaon mein ab bastiyan basaunga ja kar khalaon mein yaadon ke naqsh kanda hain namon ke rup mein hum ne bhi din guzare darakhton ki chhanw mein dauda ragon mein khun ki tarah shor shahr ka khamoshiyon ne chhin liya chain ganw mein yun to rawan hain mere taaqub mein manzilen lekin main thokaron ko lapete hun panw mein wo aa ke chal diye hain khayalon main gum raha qadmon ki chap dab gai dil ki sadaon mein sar rakh ke so gaya hun ghamon ki salib par shayad ki khwab le uden hansti fazaon mein ek ek kar ke log nikal aae dhup mein jalne lage the jaise sabhi ghar ki chhanw mein sahra ki pyas le ke chala jin ke sath sath pani ki ek bund na thi un ghataon mein jalte gulab mein na zara si bhi aanch thi hum to jale hain hijr ki thandi khizaon mein