iqrar hi ke sath ye inkar abhi se

iqrar hi ke sath ye inkar abhi se
dil todte ho kyon mera paiman-shikani se

har ek ko hai ab uns usi but ki gali se
viran huin masjiden sune hain kalise

bosa hi mujhe do jo nahin wasl pe raazi
achchha hai wahi kaam jo ho jae khushi se

waiz jo pata khuld ka puchhe to bata dun
jannat ki taraf jate hain us but ki gali se

baz aao buto apni jafaon se khuda-ra
todo na mera shisha-e-dil tang-dili se

tum aaj zarur aaoge lekin ye bata do
sachcha koi iqrar kiya bhi hai kisi se

pura kare allah mere dil ka irada
mar kar bhi na utthun but-e-kafir ki gali se

waiz ye baraste hue baadal ye ghataen
main bach nahin sakta kabhi tauba-shikani se

main kis se 'fahim' aur kahun haal-e-gham apna
allah hai aagah mere dard-e-dili se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close