irtibaat-e-bahami shaiKH-o-barahman mein nahin

irtibaat-e-bahami shaikh-o-barahman mein nahin
jo maza hai mil ke rahne mein wo an-ban mein nahin

nala-sanji-e-anadil se ye chalta hai pata
nam ko bu-e-wafa arbab-e-gulshan mein nahin

dair-o-kaba ki parastish phir bhala kis kaam ki
jab khulus-e-bandagi shaikh-o-barahman mein nahin

phir khatakte hain nigah-e-baghban mein kis liye
khair se ab chaar tinke bhi nasheman mein nahin

umr bhar mujh ko jala ke sham-o-gul kyun lae ab
dagh-e-dil ki raushni kya mere madfan mein nahin

phir tadap kar bar bar aati hai bijli kis liye
ek tinka bhi to ab mere nasheman mein nahin

apne dil ki aap ne pahnaiyan dekhin kahan
aisi wusat to qayamat ke bhi daman mein nahin

hath sine par na rakkho ho chuka qissa tamam
ab koi aawaz mere dil ki dhadkan mein nahin

hain sabaq-amoz auraq-e-kitab-e-gul magar
juz fareb-e-rang-o-bu kuchh un ke daman mein nahin

dekh kar wo zakhm-e-dil ki karti kya bakhiya-gari
nur ka dora sawad-e-chashm-e-sozan mein nahin

is qadar pisa zamane ne mujhe 'shoala' ki ab
ek dana bhi meri qismat ka khirman mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close