is chand se chehre ko dikha kyun nahin dete

is chand se chehre ko dikha kyun nahin dete
hasrat ye mere dil ki mita kyun nahin dete

khalwat mein to kahte ho ki tum jaan ho meri
ye baat zamane ko bata kyun nahin dete

ye baat agar sach hai ki tum pir-e-mughan ho
is rind ko ji bhar ke pila kyun nahin dete

maqsud nahin nasl ki islah agar ho
aslaf ke ausaf bata kyun nahin dete

akhlaq se kirdar se ulfat se jahan mein
nafrat ke andheron ko mita kyun nahin dete

main ho ke wafadar bhi mulzim hun jafa ka
phir meri wafaon ko bhula kyun nahin dete

nafrat ke ghata-top andhere mein 'zaki' tum
ek shama mohabbat ki jila kyon nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close