is dasht-e-halakat se guzar kaun karega be-amn kharabon mein safar kaun karega khurshid jo dubenge ubharne hi se pahle is tirgi-e-shab ki sahar kaun karega chhin jaen sar-e-rah jahan chadaren sar ki us zulm ki nagri mein basar kaun karega jis daur mein ho be-hunari wajh-e-siyaadat us daur mein tashhir-e-hunar kaun karega ud jaenge jangal ki taraf sare parinde minara-e-larzan pe basar kaun karega is khauf-e-musalsal mein guzar hogi to kyunkar suli pe har ek raat basar kaun karega muzhda mujhe jine ka bhala kis ne diya tha mujh ko mere marne ki khabar kaun karega