is daur ke asar ka jo puchho bayan nahin

is daur ke asar ka jo puchho bayan nahin
hai kaun si zamin ki jahan aasman nahin

is darja dilbaron se koi rasm-e-dilbari
dil hath par liye hun koi dil-sitan nahin

afsurda dil tha ab to hua gham se murda-dil
jita hun dekhne mein wale mujh mein jaan nahin

aadab sohbaton ka koi hum se sikh le
par kya karun ki talib-e-sohbat yahan nahin

dil jal ke bujh gaya hai kisi ne khabar na li
hum sokhta-dilon ka koi qadr-dan nahin

hai kal ki baat sab ke dilon mein aziz tha
par in dinon to ek bhi dil mehrban nahin

aisi hawa bahi ki hai chaaron taraf fasad
juz saya-e-khuda kahin dar-ul-aman nahin

aalam ki haigi nirkh-e-ilahi se zindagi
tis par bhi dekhta hun ki bahuton ko nan nahin

'hatim' khamosh lutf-e-sukhan kuchh nahin raha
bakta abas phire hai koi nukta-dan nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close