is dil ko ham-kanar kiya humne kya kiya

is dil ko ham-kanar kiya hum ne kya kiya
dushman ko dost-dar kiya hum ne kya kiya

rahta yahi hai dil mein shash-o-panj-e-yar se
aaina kyun do-chaar kiya hum ne kya kiya

mutthi bharam ki ghuncha-sifat is chaman mein khol
asrar aashkar kiya hum ne kya kiya

dar-parda dosti hui hum apne haq mein aah
mutrib-pisar ko yar kiya hum ne kya kiya

islam bhi ba-jabr tha ai shaikh-o-barhaman
kyun jabr ikhtiyar kiya hum ne kya kiya

tasbih to padi thi gale ek dusri
zunnar ko bhi haar kiya hum ne kya kiya

dil ko dukha ke chin-e-jabin-e-pari-washan
jun barq be-qarar kiya hum ne kya kiya

kahne laga wo qabr pe aashiq ki kyun guzar
sahwan sar-e-mazar kiya hum ne kya kiya

haihat aashna the jo mauj-e-bala ke pech
un ka na intizar kiya hum ne kya kiya

bahr-e-jahan se dida-o-danista jun hubab
ba-chashm-e-tar guzar kiya hum ne kya kiya

dasht-e-junun se tod ke rishte ko jeb ke
daman bhi tar kiya hum ne kya kiya

us sarw-qad ke ishq mein ye phal mila 'nasir'
har sad aah war kiya hum ne kya kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close