is e'tibar se wo zud-ranj achchha hai khafa bhi ho to mere sath sath rahta hai main aaftab-e-badan ka qasida likhta hun wo meri ruh ko poshak-e-nur deta hai asa-e-sabr se rasta bana liya hum ne kabhi jo rah mein dariya-e-jabr aaya hai sar-e-nigah bhi 'rashid' dhanak dhanak paikar pas-e-sahab bhi ek chand chand saya hai