is kadi dhup ke sannate mein hairan hua ghar se jo bhi nikal aaya wo pasheman hua hasraten khak udati hain har ek qarye mein dil ki ek shahr-e-nigaran tha bayaban hua muddaten guzrin to ek qatra guhar ban paya sadiyan bitin to kahin aadmi insan hua sar-e-sahil the to ye sail-e-bala kuchh bhi na tha zad mein jab aae to andaza-e-tufan hua hum sar-e-tur bhi pahunche magar ai husn-e-azal tere milne ka na phir bhi koi imkan hua sar jhukae hue kyun baithe hain arbab-e-wafa marhala kaun sa mushkil tha jo aasan hua na dar-o-baam pe raunaq na jharokon mein bahaar dil-e-viran ki tarah shahr bhi sunsan hua tu bhi is gham-kada-e-dahr mein aa kar 'mohsin' bu-e-gul ki tarah aawara-e-hairan hua