is qadar ab gham-e-dauran ki farawani hai

is qadar ab gham-e-dauran ki farawani hai
tu bhi minjumala-e-asbab-e-pareshani hai

mujh ko is shahar se kuchh dur thahar jaane do
mere ham-rah meri be-sar-o-samani hai

aankh jhuk jati hai jab band-e-qaba khulte hain
tujh mein uthte hue khurshid ki uryani hai

ek tera lamha-e-iqrar nahin mar sakta
aur har lamha zamane ki tarah fani hai

kucha-e-dost se aage hai bahut dasht-e-junun
ishq walon ne abhi khak kahan chhani hai

is tarah hosh ganwana bhi koi baat nahin
aur yun hosh se rahne mein bhi nadani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close