is tarah aah kal hum us anjuman se nikle fasl-e-bahaar mein jun bulbul chaman se nikle aati lapat hai jaisi us zulf-e-ambarin se kya tab hai jo wo bu mushk-e-khutan se nikle tum ko na ek par bhi raham aah shab ko aaya kya kya hi aah o nale apne dahan se nikle ab hai dua ye apni har sham har sahar ko ya wo badan se lipte ya jaan tan se nikle to jaaniyo muqarrar us ko 'surur' aashiq kuchh dard ki si haalat jis ke sukhan se nikle