ishq dariya hai giran-bar na jaane koi bahte pani ko gunahgar na jaane koi is mein ruhon ki mulaqat hua karti hai khwab ke pyar ko be-kar na jaane koi main jo haalat ke dhaare mein bahi jati hun mujh ko lahron ka taraf-dar na jaane koi sar jhukaya hai mohabbat mein mohabbat ke liye is mohabbat ko meri haar na jaane koi main yunhi waqt-guzari ko chali aai hun mujh ko khwabon ka kharidar na jaane koi mujh ko haalat ki talkhi ne kiya hai barham meri guftar ko talwar na jaane koi yaad aate hi ghazal banti hai meri 'bilqis' saat-e-hijr ko aazar na jaane koi