ishq hai wahshat hai kya hai kuchh pata to chahiye kya kahun main us se aakhir muddaa to chahiye darguzar kar mere malik tu nazar aata nahin sar jhukane ke liye koi pata to chahiye raat ki palken bhi khali ghar ke aangan ki tarah raushni ke waste koi diya to chahiye sar-khamida shahr mein us ke harim-e-naz tak bu-e-gul ke waste dast-e-saba to chahiye khat-kashida sari tahriren usi ke nam hain harf-e-haq ko izn de saut-o-sada to chahiye raat ki shakhon pe kuchh khwabon ke gul-bute saja jagti aankhon ko aakhir aasra to chahiye