kisi se ishq karna aur is ko ba-khabar karna hai apne matlab-e-dushwar ko dushwar-tar karna nahin hai maut par kuchh ikhtiyar ai wa-e-majburi ummid-e-marg mein mushkil basar karna magar karna jo par the maya-e-parwaz mein wajh-e-giranbari ghurur-e-baal-o-par karna to mujh ko dekh kar karna jafa kar shauq se tu zabt par mere na ja hargiz shikayat kya mujhe ye kaam hai jab umr bhar karna jafa un ki wafa-parwar wafa meri jafa-parwar wo un ko umr-bhar karna ye mujh ko umr-bhar karna sar-e-rah puchhte hain haal kya kahiye ki mushkil hai bayan-e-dard-e-dil karna aur is ko mukhtasar karna tawajjoh chaara-gar ki bais-e-taklif hai 'bekhud' izafa hai musibat mein dawaon ka asar karna