ishq jhela hai to chehra zard hona chahiye

ishq jhela hai to chehra zard hona chahiye
husn ke shaidaiyon ko mard hona chahiye

bad-gumani ponchh kar aanchal se koi chum le
is liye taswir par kuchh gard hona chahiye

sach kaho to har kahani dastan apni hi hai
aadmi ke dil mein thoda dard hona chahiye

aaj ke boson mein sachchai ki surkhi hai kahan
ai musawwir in labon ko zard hona chahiye

is makan mein rahne wale murda-dil insan hain
is mahal ke pattharon ko sard hona chahiye

ek jaise chehre-mohre ek jaisi niyyaten
bhid mein sab se alag ek fard hona chahiye

man ka aanchal tham kar rona bahut aasan hai
dur rah kar rone wala mard hona chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close