ishq ka mara na sahra hi mein kuchh chaupat pada hai jahan us ka amal wo shahr bhi hai pat pada aashiqon ke qatl ko kya tez hai abru ki tegh tuk udhar jumbish hui aur sar idhar se kat pada ashk ki nok-e-mizha par shisha-bazi dekhiye kya kalaen khelta hai bans par ye nat pada shayad us ghuncha-dahan ko hanste dekha bagh mein ab talak ghuncha balaen leta hai chat chat pada dekh kar us ke sarapa ko ye kahti hai pari sar se le kar panw tak yan husn aa kar phat pada kya tamasha hai ki wo chanchal hatila chulbula aur se to hit gaya par mere dil par hat pada kya hua go mar gaya farhad lekin dosto be-sutun par ho raha hai aaj tak khat khat pada hijr ki shab mein jo khinchi aan kar nale ne tegh ki pate-bazi wale tasir se hat hat pada dil badha kar us mein khincha aah ne phir nimcha ai 'nazir' aakhir wo us ka nimcha bhi pat pada