ishq karte hain to ahl-e-ishq yun sauda karen

ishq karte hain to ahl-e-ishq yun sauda karen
hosh ka sarmaya nazr-e-husn-e-be-parwa karen

hum na hon lekin zamane mein hamara nam ho
aisi hasti chahiye to mar ke hum paida karen

hai khud-arai kisi ki shan-e-khuddari ke sath
yani un ko hum na dekhen wo hamein dekha karen

dars-e-irfan ke liye har zarra hai tur-e-kalim
dekhne wale magar pahle nazar paida karen

shekh ko jannat mubarak hum ko dozakh hai qubul
fikr-e-uqba wo karen hum khidamt-e-duniya karen

ek dil hai ek hasrat ek hum hain ek tum
itne gham kam hain jo koi aur gham paida karen

'ahsan'-e-ranjur ko duniya se kya hai wasta
aap ne bimar dala aap hi achchha karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close