ishq ko KHun-e-jigar ki hai talab kahte hain

ishq ko khun-e-jigar ki hai talab kahte hain
zakhm khane ko wafaon ka adab kahte hain

husn ki dhup mein nikhra hua phulon sa badan
dil ke lut jaane ka is ko hi sabab kahte hain

khak malta hai falak aa ke mere qadmon ki
khaksari ko bulandi ka laqab kahte hain

wo bhi lahra ke har ek dard suna karti hai
qaid ka waqia zanjir se jab kahte hain

tum ye mano ki na mano hai tumhaari marzi
ishq ko dan sahi jine ko dhab kahte hain

dil mein tufan jo chhupae ho chhupae rakkho
sara afsana larazte hue lab kahte hain

tum diwane ho ye sach hai ise taslim karo
hum nahin kahte faqat shahr mein sab kahte hain

in ko dekhun to inhen meri nazar lag jae
aisa hota hai kahin aap ghazab kahte hain

dil jo rota hai use gate hue nikle 'nadim'
log is dard-e-mohabbat ko adab kahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close