ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae

ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae
ye nahin dagh-e-nadamat jise dhoya jae

dopahar hijr ki tapti hui sar par hai khadi
wasl ki raat ko shikwon mein na khoya jae

uljhe ab panja-e-wahshat na garebanon se
aaj use sina-a-ada mein gadoya jae

ek hi ghunt sahi aaj to pi le zahid
kuchh na kuchh zohd ki khushki ko samoya jae

jitne bhi dagh raunat ke hain dhul jaenge
hauz-e-mai mein tujhe shaikh aaj duboya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close