ishq saman bhi hai be-sar-o-samani bhi usi darwesh ke qadmon mein hai sultani bhi hum bhi waise na rahe dasht bhi waisa na raha umr ke sath hi dhalne lagi virani bhi wo jo barbaad hue the tere hathon wahi log dam-ba-khud dekh rahe hain teri hairani bhi aakhir ek roz utarni hai libaadon ki tarah tan-e-malbus! ye pahni hui uryani bhi ye jo main itni sahulat se tujhe chahta hun dost ek umr mein milti hai ye aasani bhi