ishq se ishq ke anjam ki baaten hongi

ishq se ishq ke anjam ki baaten hongi
subh tak aap ki phir sham se baaten hongi

dur manzil hai hawaen bhi mukhalif si hain
do ghadi baitho to aaram se baaten hongi

jis tarah hoti hai rindon ki kharabaat se baat
is tarah gardish-e-ayyam se baaten hongi

saqiya ab to inayat ki nazar ho jae
kab talak mujh se tahi-jam ki baaten hongi

naz karte hain agar apne khad-o-khal pe ye
aap ke husn ki asnam se baaten hongi

inqalab aae to phir himmat-e-mardan ki qasam
waqt ki waqt ke ahkaam se baaten hongi

aao kuchh hausla-e-dil se bhi len kaam ai 'nur'
kab tak ab hasrat-e-nakaam se baaten hongi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close