ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai lek nadani se apni tu ne samjha sahl hai gar khule dil ki girah tujh se to hum jaanen tujhe ai saba ghunche ka uqda khol dena sahl hai hamdamo dil ke lagane mein kaho lagta hai kya par chhudana is ka mushkil hai lagana sahl hai garche mushkil hai bahut mera ilaj-e-dard-e-dil par jo tu chahe to ai rashk-e-masiha sahl hai hai bahut dushwar marna ye suna karte the hum par judai mein teri hum ne jo dekha sahl hai shama ne jal kar jalaya bazm mein parwane ko bin jale apne jalana kya kisi ka sahl hai ishq ka rasta sarasar hai dam-e-shamshir par bul-hawas is rah mein rakhna qadam kya sahl hai ai 'zafar' kuchh ho sake to fikr kar uqba ka tu kar na duniya ka taraddud kar-e-duniya sahl hai