itna karam itni ata phir ho na ho tum se sanam wada wafa phir ho na ho ye hi hain din, baghi agar banna hai ban tujh par sitam kis ko pata phir ho na ho shayad ye manzar us ke aane tak hi ho aankhon mein dam atka hua phir ho na ho manzil tak apna sath hai, gate chalen tu ham-qadam tu ham-nawa phir ho na ho aage thakan kar de na kam shauq-e-safar naqsh-e-qadam par jaan fida phir ho na ho