itna pur-josh mere dard ka dhaara to na tha kya pas-e-parda kahin qurb tumhaara to na tha tum ne alqab badal kar mujhe maktub likha us taghayyur mein kahin talkh ishaara to na tha lazima qat-e-marasim se ye tafriq hui warna ye ishq mujhe aap se pyara to na tha baal khole hue kyun aa gae parde ke qarib main nai aawaz sunai thi pukara to na tha hum to mauzun the kisi aalam-e-ulfat ke liye zar ki duniya mein 'jali' kaam hamara to na tha