itne to ham-KHayal dil-e-mubtala hain hum

itne to ham-khayal dil-e-mubtala hain hum
kal jis se khush the aaj isi se khafa hain hum

tujh se juda nahin hain jo tujh se juda hain hum
tere hi hain agarche tere naqsh-e-pa hain hum

kahte hain hum ko nek bhi bad bhi hazar-ha
is ki khabar nahin hai ki dar-asl kya hain hum

rutba badha diya hai junun-e-firaq ne
hum se juda hain aap to sab se juda hain hum

tasir-e-ashk-o-ah ne badla nahin mizaj
muddat hui ki shaki-e-ab-o-hawa hain hum

lakhon jafaen sah ke ab aaya hai ye khayal
milte hi kyun hain us se jo be-muddaa hain hum

wo yas ban gai jo zamane ki aas thi
aazurda aaj apne se be-intiha hain hum

jamta hai apne zikr se ab mahfilon ka rang
rahte hain apne ghar mein magar ja-ba-ja hain hum

kya kya inayaten hain bas ai charkh-e-pir bas
tera tasadduq ab bhi kisi se juda hain hum

ab ittifaq-e-ahl-e-wafa tum ko kya dikhaen
mahshar mein dekhna ki ye sab ek ja hain

manzur imtihan-e-dil-e-ishq-baz hai
ab apne waste bhi to sabr-azma hain hum

is par mite hue hain mitata hai jo safi'
dushman ki ga rahe hain bade khush-nawa hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close