itni fursat nahin us paikar-e-pindar ke pas

itni fursat nahin us paikar-e-pindar ke pas
ban ke aae wo masiha kisi bimar ke pas

gar yunhi wahshaten raqsan rahin dalanon mein
koi saya na rahega kisi diwar ke pas

roz aankhon ko naya tarz-e-sukhan milta hai
roz jata hun kisi yar-e-tarah-dar ke pas

fasl-e-gham dekh ke nam-dida hua charkh-e-falak
shayad aankhen hi nahin aaina-bardar ke pas

meri diwangi khwabon se baghal-gir hui
dasht aabaad kiya jab kisi gulzar ke pas

rang-o-nikhat ke khazane bhi zamin-bos hue
chal ke khud aane lagi khushbu kharidar ke pas

ai 'khayal' apne iradon ko tawana rakkho
muflisi aati nahin hai kisi fankar ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close