ja chuka tufan lekin kapkapi hai

ja chuka tufan lekin kapkapi hai
waqt ki diwar ab tak hil rahi hai

hum ne pahchana bahut logon ko lekin
ek ek surat abhi tak ajnabi hai

ab kirae ke makan mein ghut raha hun
bap dada ki haweli bik chuki hai

roz kahte ho magar kahte nahin ho
wo kahani jo abhi tak an-kahi hai

kaise guzra padh ke andaza laga lo
waqt ki tafsir chehre par likhi hai

andar andar main bikharta ja raha hun
koi shai rah rah ke mujh mein tutti hai

ghas ug aai dar-o-diwar-e-dil par
khana-virani ka manzar didani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close