jaan apni chali jae he jae se kasu ki

jaan apni chali jae he jae se kasu ki
aur jaan mein jaan aae hai aae se kasu ki

wo aag lagi pan chabae se kasu ki
ab tak nahin bujhti hai bujhae se kasu ki

bujhne de zara aatish-e-dil aur na bhadka
mehndi na laga yar lagae se kasu ki

kya soiye phir ghul hai dar-e-yar pe shayad
chaunka hai wo zanjir hilae se kasu ki

kah do na uthae wo mujhe pas se apni
ji baitha hi jata hai uthae se kasu ki

jab main ne kaha aaiye man jaiye bole
hum aur bhi ruthenge manae se kasu ki

chuppi mein jo kuchh baat ki main ne to ye bole
hum to nahin dabne ke dabae se kasu ki

yaro na charagh aur na main shama hun lekin
har sham ko jalta hun jalae se kasu ki

pata nahin ghar us ka samajhta hi nahin hai
is bait ke mani bhi batae se kasu ki

jab us se kaha meri sifarish mein kasu ne
hasil bhi rulae se kudhae se kasu ki

ek tan se ye hans ke laga kahne ki be-shak
hum rolte moti hain rulae se kasu ki

kahta hai ki 'ehsan' na kahega to sunega
matla ye kaha main ne kahae se kasu ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close