jaan dena bas ek ziyan ka sauda tha

jaan dena bas ek ziyan ka sauda tha
rah-e-talab mein kis ko ye andaza tha

aankhon mein didar ka kajal dala tha
aanchal pe ummid ka tara tanka tha

hathon ki banken chhan chhan chhan hansti thin
pairon ki jhanjhan ko ghussa aata tha

hawa sakhi thi meri, rut ham-joli thi
hum tinon ne mil kar kya kya socha tha

har kone mein apne aap se baaten kin
har pahchal par aaine mein dekha tha

sham dhale aahat ki kirnen phuti thin
suraj dub ke mere ghar mein nikla tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close