jaan ek but pe fida karte ho kya karte ho

jaan ek but pe fida karte ho kya karte ho
phir bhi ummid-e-wafa karte ho kya karte ho

hum se paiman-e-wafa karte ho kya karte ho
tark dastur-e-wafa karte ho kya karte ho

wada karte ho wafa karte ho kya karte ho
jurm-e-qanun-e-jafa karte ho kya karte ho

kar ke kaunain ko zanjiri-e-gesu-e-daraaz
zulf-e-pechan ko duta karte ho kya karte ho

khak mein hum ko milaya to bahut khub kiya
ab pasheman hua karte ho kya karte ho

hum ko khud kar ke giraftar-e-bala hazrat-e-dil
ab ye kahte ho bura karte ho kya karte ho

ghar jo zindan hai to virana bana deta tha
dar-o-diwar taka karte ho kya karte ho

khun-e-dil ashkon se bola ye umand kar kal raat
aap hi aap baha karte ho kya karte ho

pairahan jo ki gareban hi raha aur na jeb
is ko baithe jo siya karte ho kya karte ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close