jaan ye kah ke but-e-hosh-ruba ne le li

jaan ye kah ke but-e-hosh-ruba ne le li
koi puchhe to ye kahna ki khuda ne le li

gul-e-maqsud mein awwal to mahak thi hi nahin
aur jo thi bhi wo hasrat ki hawa ne le li

sab se pahle to siyahi meri qismat ko mili
jo bachi thi wo teri zulf-e-dota ne le li

jaan kambakht mohabbat mein bachae na bachi
but-e-kafir se jo chhuti to khuda ne le li

dam-e-akhir but-e-bedard ka daman chhuta
mere hathon se badi chiz khuda ne le li

chal basi jaan to is baat ka gham kya 'muztar'
ek amanat thi khuda ki so khuda ne le li


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close