jaane kya aas lagai hai safar se maine

jaane kya aas lagai hai safar se main ne
ek tinka bhi uthaya nahin ghar se main ne

warna chup kis se raha jata hai itna arsa
tujh ko dekha hi nahin aisi nazar se main ne

utar aaya hai harifon ki taraf-dari par
wo jise samne karna tha idhar se main ne

yun na kar wasl ke lamhon ko hawas se tabir
chand patte hi to tode hain shajar se main ne

dekhni ho kabhi bechaini to un se milna
jin ko roka hai teri khair-khabar se main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close