jaane kya aisa use mujh mein nazar aaya tha mujh se milne wo bulandi se utar aaya tha koi to garmi-e-ehsas se milta us se itne din baad to wo laut ke ghar aaya tha wo mere panw ka chakkar tha ki manzil thi meri ghum-phir kar wahi har bar khandar aaya tha wo mere sath tha sahra ho ki dariya 'farrukh' us ke hote hue kya lutf-e-safar aaya tha